Tuesday, January 4, 2011

Surrender

Main jo zindagi ka malaal hun,
Main jo tishnagi ka sawaal hun,
Na palat mujhay tu yun dekh kar,
Main teray hi ishq ka jalaal hun,

Mujhay dast-e-shauq say tu chhu bhi lay,
Meri rooh main zara jhaank lay,
Na tu ja mujhay yun chor kar,
Main teri nazr ka hi kamaal hun,

Mujhay dekh tu zara ghaur say,
Zara yaad kar wo nafratain,
Jinhayn khandaron main badal diya,
Unhiin mehlon ka main saraab hun,

Meri bandagi ka sila tou day,
Meray marz ki dawaa tou kar,
Na yeh zindagi mujhay chahiyay,
Teray dil ka ab bhi qaraar hun,

Main jo aag hun, main jo aab hun,
Janay kis gunah ka sawaab hun,
Jo main ji gaya tou bhi tera hi,
Jo main khaak hun, teray naam hun

2 comments:

Anonymous said...

simple words,expressing a simple idea yet appeal strikingly to heart and mind.i know it came straight from ur heart.this "tishnagi" will keep on inspiring such pieces so bear with it.

Ahmed Belal Hashmi said...

Thank you, and I do hope it keeps coming :)